hey guys welcome to techhindi, if you face any problem in your smart phone, gmaes, banking, apps or solution of your all problem. sari jankari in hindi me.

Header Ads

Friday 10 July 2020

Fd vs Rd मे kya अंतर hai - rd kya hota hai

Hello friends aj hum bat krege ki Fd vs Rd me kya antar hai - rd kya hota hai. Recurring account jisko hum sort cut me rd account bhi kehte hai.
rd kya hota hai
rd kya hota hai

Jo log ghar pr saving nhi kr pate ya fir jo jo log चाहते hai ki unke saving vale pesse jada hote rahe unke liye rd subse acha option hai.

Rd account koi bhi open kr sakta hai. Agar aap koi job krte hoo to aapko rd account jarur open  karna cahiye.

Bank main rd ka matlab kya hota hai?


Rd bhi fd ki trah hii hoti hai iss me bhi aap fd ki trah apne save kiye hoye money ko invest kr sakte hai. Or rd me aap ki money waste nhi hoti.

Yaha pe aap jitni bhi money invest kroge wo aap ko pure intrest ke sath milegi. or ye pesse aap ke bilkul bhi dubane vale nhi hai.

iss liye aap tension free ho kar rd me money invest kar sakte hai. bank me rd account open krkvane se aap  ko benifet hoga.

iss liye aapko rd account jarur open krvana cahiye. Aapko pta hoga Fd me ek hii bar me sari money ko add karni hoti hai.

Lekin Rd me aap har month aap-ni marji ke hisab se money add krva sakte hoo. aap apni job ki salary me se khus money Rd me save kar sakte hoo.

Rd account open krne se kya benifet hoga?

rd account open karne se aapko bohat fayda hone wale hai, pr rd account open krne ke baad aapko usme aap apni money ki kum se kum 3 ya jyada se jyada 10 saal tak ki rd aap krva sakte hai.

jitna time jada aap rd me money rakhoge utna jyada return money aap ko milega intrest ke sath. rd ka interest rate 7% se 9% tak ka rehta hai.

but sabhi banks ka alag alag interest rate rehta hai. aap apne bank branch se insterest rate ki information le sakte hoo.

wo aapko bta denge vese mene aap ko estimate bta diya hai ki aapko kitna interest rate mil sakte hai. dosto ab agar hum bat kre ki rd ko kitne smeh tak rakh sakte hai to me aap ko clear bta doo.

rd 3 month ke hisab se chalti hai jese aap 3 month se 6 month tak ya 6 month se 9 month tak. ese hii 3 months ka cycle chalta hai. esa nhi hota ki aap socho ki me 4 month tak krva loo ya 5 month tak.

jesa sabhi banks ka rule hai aap 3 month ya 3 month agar or add kare to 6 month tak rd karva sakte hoo.

or jub bhi aap apni rd me se money nikle vaoge to aap-ko aapki puri money ke sath interest ki money bhi milegi jis se ki aap ko dugna profit hoga.

rd account kaise khole ?


Rd account aap sabh ko jarur open krna cahiye. kyuki aap me se bohat se log ese honge jo aap ni saving ko dugna krna cah-te hai but unko shi rasta nhi pta money ko invest karne ka to esse me rd subse acha option hai money ko shi jgah invest karne ka.

yaha pe aapka 1 pessa bhi nhi dubega. rd account open karne ke liye aapko apne bank branch me jana hoga. vaha aap ko rd account ke liye form fill karna hoga.

rd account open karne ke liye aap ko khus ammount bank ko dena hota hai for example - 100, 500 ya 1000 rupee.

koi koi bank to sirf 10 - 20 me bhi rd account open kar dete hai. agar aap bank nhi jana cah-te to aap asan trike se bhi rd account open karwa sakte hoo, netbanking ke jariye.

ghar pe rd account open karne ke liye aap ke pass net banking account hona cahiye.


Fd vs Rd me kya antar hota hai?

Fd vs Rd me kya antar hota hai

Dosto ab hum bat krte hai ki fd or rd me kya antar hai, kyu fd ke hote hoye bhi banks ne rd wala system bnaya chaliye me aapko full example se smjata hmm.

Dosto me aapko pehle hi bta du hume fd me jada profit hota hai badle me rd ke. Fd bhi aapko 7% intrest deta hai or Rd bhi 7% pr fir bhi kese hum fd se jada profit hota hai.

Chaliye man lijiye aap ne 12 month ke liye 24000₹ rupee fd me ek hii bar me jma krva diye or 2000₹ aap har month jma krva rahe ho rd me pure month tak or jub 12 month hoge too aap ke liye Rd account me 24000₹ ho jayege jispe bad me aapko 12 month ka intrest bhi milega.

But fir bhi aapko Rd me 7% ke intrest ke hisab se 12 month ke baad 24000₹ milege. Or wohi Fd me aapko 24000₹ ka 12 month ke baad 25,724₹ milege.

Wo kese chaliye ab jante hai diyan se read krna aap log Fd me ek hii bar me 12 month ke liye 24,000₹ jma krva rahe ho iss liye ispe pure 12 month ka 7% intrest mila hai.

Or wohi dusri tarf Rd me aap per month 2000₹ jma krva rahe thee 12 month tak iss liye jab aap ne pehli bar 2000₹ add kiye thee aapko uspe 12 month ka intrest mila thaa or fir jub dusri bar jma kiye to 11 month ka intrest mila esse hii krte krte aapko month ke hisab se intrest mila.

Kyuki aap ne Fd me to ek hii bar me sare 24,000₹ jma krva diye thee. Or Rd me aap 2000₹ - 2000₹ per month ke hisab se jma krva rahe thee.

Yahi fark hai Rd oe Fd me Fd me ek hii bar me money add krni hoti hai, or Rd me aap bar bar har month saving ke liye money add kar sakte ho.

Iss liye agar aapke pass jada money ho to aap ek hi bar me sari money Fd me jma krva sakte hoo.

Or agar aap job krte ho ya aap sari money add nhi krna cahte too aap Rd me per month jitne cahe utni money add krva sakte hoo.

Iss se aap saving bhi kr sakte hoo or money ko baki ki money ko enjoy kr sakte hoo. To dosto aap shayad aapko antar pta chal gya hoga Rd vs Fd ka. Agar ab bhi aap ko samj nhi ayi to ek baar ye video jarur dekhna.


Also read this:-

isi mark का मतलब kya hota है जाने विस्तार मे - isi mark full form




final words  :-

i hope dosto aapko pta chal gya hoga ki Fd vs Rd me kya antar hai - rd kya hota hai, to dosto aj ke liye bass itna hii agar fir aap ke mann me koi swal hai to please hume comment me jarur btana. Hum reply jarur krenge. Thanks for reading

No comments:

Post a Comment

Back To Top